Udit Narayan, Abhijeet - Tum Agar Saamne
Fecha de Publicación: Hace 9 años
Artísta: Udit Narayan, Abhijeet
0.00/5 en votos
Letra 'Tum Agar Saamne'
Main agar saamne aa bhi jaaya karoon
Laazmi hai ke tum mujhse parda karo
Apni shaadi ke din ab nahin door hai
Main bhi tadpa karoon, tum bhi tadpa karo
Badi mushkil hai, yeh mera dil hai
Tum hi kaho kaise main chup rahoon
Tum agar saamne aa bhi jaaya karo
Laazmi hai ke main tumse parda karoon
Apni shaadi ke din ab nahin door hai
Main bhi tadpa karoon, tum bhi tadpa karo
Badi mushkil hai, yeh mera dil hai
Tum hi kaho kaise main chup rahoon
Tum agar saamne aa bhi jaaya karo
Laazmi hai ke main tumse parda karoon
Sataane ke manaane ke
Yeh din hai aazmaane ke
Zara samjha karo dilbar, tumhe meri kasam
Yehi meri hai majboori
Sehi jaaye na ab doori
Mera kya haal hai kaise bataaoon main sanam
Zameen hogi, gagan hoga
Tera mera milan hoga
Main agar tumse nazrein milaaya karoon
Laazmi hai ke tum mujhse parda karo
Main duniya se chala jaaoon
Kabhi na lautke aaoon
Karogi kya akele tum, bataao dilrooba
Main rab se chheen laaoongi
Tujhe apna banaaoongi
Chalegi saans jab tak yeh na honge hum judaa
Na apni yeh kasam toote
Jo rab roothe to rab roothe
Main agar tumko milne bulaaya karoon
Laazmi hai ke tum mujhse parda karo
Apni shaadi ke din ab nahin door hai
Main bhi tadpa karoon, tum bhi tadpa karo
Badi mushkil hai, yeh mera dil hai
Tum hi kaho kaise main chup rahoon
Main agar saamne aa bhi jaaya karoon
Laazmi hai ke tum mujhse parda karo